Patri Hai Rah-E-Yaar Ki Aaraam Sey Baithho
Woh Aa Rahey Hain Baam Pai Dil Thaam Key Baitho
Aatey Hain Ley Umeed Magar Naa-Umeed Ho
Jaatey Hain Sabhi Kaam Sey Dil Thaam Key Baithho
Aankheyn Hateyn Na Chilqad-E-Dar* Khaas Hateygaa
Lamhoun Key Liye Shaam Sey Dil Thaam Key Baithho
Jut-Tey Hain Log Roz Yaheen Deed-E-Yaar Ko
Nazareyn Garhaaou Baam Pai Dil Thaam Key Baithho
Nazar-E-Karam Ko Aayegaa Nazaroun Mein Noor-E-Hoor
Kuchh Deir Eihitraam Sey Dil Thaam Key Baithho
Shohrat Hai Un Key Naam Ki Hai Husn Beymisaal
Milnaa Hai Gulandaam** Sey? Dil Thaam Key Baithho
Gul Bhi Naheen Hain? Khaak Gul-Afsaani*** Karogey?
Aanaa Thaa Intizaam Sey Dil Thaam Key Baithho
Aatey Hain Yahaan Meer Musaahib Faqeer-O-Shaikh
Ulfat Hai Jinhain Jaam Sey Dil Thaam Key Baithho
Ab Shaam Dhhal Rahee Hai Bas Ho Jaaou Hoshiyaar
Waaqif Ho Saranjaam Sey? Dil Thaam Key Baithho
Saaqee Ki Naheen Wo To Muezzin Ki Hai Sadaa
Ho Roo-B-Roo Anjaam Sey Dil Thaam Key Baithho
Ho Khaamkhoo# Aaye Ho To Kuchh Sabra Bhi Karo
Woh Sar## Hain Khaas-O-Aam Sey Dil Thaam Key Baitho
Hon Aap Mukhaatib Shareek-E-Bazm Hai -Ë—abd-‘
Matlab Hai Bas Salaam Sey Dil Thaam Key Baitho
* = Armour Of The Door
** = Beloved Who Is As Soft As A Flower
***= Showering Of Flowers
# = Newbie
## = Superior