Pathrai Aankho Main Bhee Khab Palte Rehte Hai,
Wo Hee Nahi Milte Yu To Kai Log Milte Rehte Hai…..
Tujhe Dekhne Ki Aarzoo Jo Ab Tak Adhoori Hai,
Yu To Dil Ke Sabhi Armaan Nikalte Rehte Hai……
Yeh Zaroori Nahi Ki Har Kisi Ko Manzil Mile,
Manzil Ki Talaash Main Sabhi Log Chalte Rehte Hai……
Sakoon Kahin Bhee Maysar Nahi Insaan Ko,
Zanazae Wale Bhee Kandhe Badalte Rehte Hai……
Jeene Ka Saleeka Seekho Phoolon Se Yarro,
Muskurake Jo Kanto Main Bhee Khilte Rehte Hai…..
Teri Judai Main Dil Kisi Shamshaan Se Kam Nahi,
Har Pal Is Main Lakho Armaan Sulagte Rehte Hai……
Isee Liye Baharon Ke Naam Se Seham Jata Hoon,
Bahar Main Humko Naye Zakham Milte Rehte Hai…..
Suraj Ki Tapish Or Seene Ki Jalan Ko Sehne Ke Liye,
‘Veer’ Kabhi Ghar To Kabhi Dil Bhee Jalte Rehte Hai.