Pata Nahin Hum Galat Hein Ya Phir Sahi Hei
Bhaavna Meri Ye Hai Ki Kavita Ki Douniya Ko
Ek Khayaalon Ka Saagar Maana Ja Sakta Hai
Eissa Saagar Jisska Kayi Roup Houa Karta Hai
Subhah Ke Suryaast Ke Samay Wo Nayi Dulhan
Ki Sindouri Mang Ke Rang Ko Apna Leta Hai
Jab Aakash Par Kaale Baadal Chaye Rehte Hai
To Saagar Bhi Kajrare Rang Main Sama Jata Hai
Jab Kabhi Wahan Par Toufaan Oubhar Jata Hai
To Ounke Leher Bhi Bhayanak Houa Karte Hei
Hum Inke Lakhon Roup Ko Nahin Pehchan Paate
Kavita Premi Har Tarah Se Iss Ka Anand Lete Hei
Hum Main Se Kayi Log Eisse Bhi Houa Karte Hei
Jo In Ke Sahil Par Baithe Baithe Ounke Lehron Ko
Bare Pyaar Se Nihaar Kar Man Ko Behla Lete Hei
Kayi Eisse Log Bhi Hein Jo Inke Jal Main Outar Kar
Swashakti Ke Anusaar Teyrne Main Mazaa Lete Hei
Eisse Hi Kayi Hein Jinhein Motiyon Ki Talaash Hai
Inko Paane Ke Liye We Kya Kouch Nahin Karte Hei
Jane Kin Gehraiyon Tak Ounhein Outarna Parta Hai
Aur Apne Manchahe Vastu Ko Apna Liya Karte Hei
Aakhir Main Eisse Bhi Log Hein Jo Inka Izzat Karte Nahi
Iss Main Apne Gandagi Donon Hanthon Se Pheinkte Hei
Aur Kavita Ke Saagar Ke Premiyon Ka Tirraskar Karte Hei
Humein Inke Kinaron Ke Ret Ke Saman Miljul Kar Rehna Hai
Shayad Isse Se Kavya Ke Leher Hum Par Mehrbani Reheinge