Pardesh Mein Basse Hain, Desh Ki Yaad Aati Hai
Sondhi Sondhi Mitti Ki Khushbu, Barish Ki Yaad Dilate Hai
Sawan Ke Woh Jhoole, Jinpar Sakhiyan Jhoolti Thi
Mitti Ke Woh Diye, Jinse Diwali Roshan Hoti Thi
Har Mandir Har Church Har Gurudwara Yaad Aata Hai
Masjid Ki Ajaan, Apne Desh Ki Yaad Dilate Hai
Unn Waddiyon Ko Kaise Bhul Jayoongi
Baraff Ki Chaddar Mein Jo Lipti Thii
Phoolon Ki Kayariyon Mein Joogno Bhi Jagmagate The
Har Batakte Musafir Ko Ek Nayi Rah Dikhate The
Kaise Naa Yaad Karoon Jo Piche Chod Aayi Hoon
Ek Haat Bhai Ka Bhi Hai, Jo Rakhi Bina Soona Hai
Kuch Yadain Hain Kuch Mazaar Hain
Jin Par Maa Baba Ka Naam Likha Hai
Uus Mitti Mein Hi Jana Hai Mujko
Pardesh Toh Pardesh Hai, Apne Desh Le Jana Mujko
Bas Yeh Choti Si, Ek Tamaana Hai