Par Thehar Woh Jo Wahan Letey Hain Phutpaathon Per
Sar Pe Paani Kii Her Boondh Ko Lene Ke Liye
Ugtey Sooraj Kii Nayi Aarti Karney Ke Liye
Aur Akhbaar Ko Nayi Surkhiyaan Dene Ke Liye
Door Se Aati Woh Meethi Si Baansuri Kii Dhhun
Aise Nas-Nas Mein Teri Yaad Jaga Jaati Hain
Jaise Pinjrey Mein Chat-Pataate Hue Panchi Ko
Apni Azaad Uraano Ki Yaad Aati Hai
Ab Likha Jaata Nahin Garm Ho Gaya Hain Lahoo
Aur Kagaz Pe Kalam Kaanp-Kaanp Jaati Hain
Roshni Jitni Ho Deta Hoon Inn Sawaalon Ko
Shoonyata Utni Hee Simat-Ti Jaati Hai
Isliye Waqt Apna Liye Mujhko Jaana Hain
Aaunga Kal Ko Muskurahat Kaa Naam Liye
Boodi Duniya Ke Liye Koi Naya Swarg Liye
Berojgaar Haathon Ke Liye Koi Naya Naam Liye