Pani Ki Lehar Par Naam Likhaa
Or Dhoop Se Poocha Jiska Pata
Thandi Si Hawa Ke Jhonke Par
Mehsus Kiaa Or Bhool Gayaa
Woh Mujhme Thaa Woh Mujhme Hain
Woh Tumme Hain Woh Sabme Hain
Kisi Naam Ka Woh Muhtaaj Nahi
Benaam Woh Hai Benaam Woh Hai
Awaazon Ko Woh Sunta Hai
Gar Dil Se Nikalti Hai Joo Kabhi
Usay Kuchh Bhii Kaho Usay Kuchh Bhii Kaho
Kisi Naam Ka Woh Muhtaaj Nahi
Par Aaj Ye Kaisa Jazbaa Hai
Jisne Ham Sab Ko Gher Lia
Hamko Hai Banaya Jisne Bhi
Ham Sab Ne Usko Tod Dia
Phir Mun Na Bhara To Aisa Kia
Kuchh Hisse Kiye Aur Naam Dia
Jiska Koi Bhi Naam Nahi
Usay Khud Ke Lie Badnaam Kia
Kyon Karte Hain Ham Aisa Kuchh
Kabhi Socha Bhi Hai Kya Ispar
Zara Zehen Pe Apne Dalo Zor
Kisne Hai Sikhaya Ye Sab Kuchh
Aisa Na Karo Aisa Na Karo
Apni Khatir Khud Se Hi Daro
Ham Sab Ka Pita Ham Sab Ka Khuda
Bas Sikhlata Hai Pyar Karo