Panapte Hai Takallufo Ke Saaye Me Ye Rishte
Azadi Se Khilneki Inhe Fursat Nahi Milti
Milte To Hai Tamaam Duniya Se Wo Has Ke
Jara Khud Se Kabhi Milneki Fursat Nahi Milti
Duniya Me Aasani Se Chahate Mil Jati Hai
Un Chaahato Se Magar Dil Ko Rahat Nahi Milti
Muraade Banaati Hai Iraade Kai Hazaar
Aksar Fir Unhe Jurrat-E-Harkat Nahi Milti
Main Samza Tere Chahne Wale Muzse Kyu Jalte Hai
Mere Dil Ke Siwa Duniya Me Teri Surat Nahi Milti
Do Phool Ek Jaise Kabhi Ho Nahi Sakte
Is Kaaynat Me Kisi Aur Se Teri Soorat Nahi Milti
Galatiya To Khair Khuda Se Bhi Hui Hai
Kyu Sudharne Ki Sabko Mohlat Nahi Milti
Kitni Kahaniya Yaha Reh Jati Hai Adhuri
Kahi Dil Nahi Milte.. Kahi Qismat Nahi Milti
Mere Qalaam Se Ziyaad, Wo Soch Me Padte Hai
Unki Sochon Ko Magar Utni Wussat Nahi Milti