Paimaanaa Banke Pilaataa Rahaa Aur Khud Tashnaa Reh Gayaa Hun Me
Raftaa-Raftaa Peeke Na Bhujegi Ab Ye Pyaas-E-Tashnaa
Bhad Gayi He Itni Tashnagi Ab Ki Ek Goonth Me Saagar Bhi Pee Lun To Kam He
Har Taraf Behtaa He Yahaan Dariyaa-E-Husn
Ek Goonth Muhabbat Ke Liye Tadap Rahaa Hun Me
Guzaaraa Shab-O-Roz Mene Maikadaa-E-Pyaar Me
Phir Bhi ‘Tashnaa’ Laut Aa Rahaa Hun Me
Muhabbat Farmaanaa Ek Gunaa Huaa
Paimaane Ke Baad Paimaanaa Huaa
Aatish-E-Muhabbat Me Jal Jal Kar
Raakh Ye Teraa Deevaanaa Huaa
Furqat Me Bhi Haazir Hoti He Ek Kism Ka Sukoon
Kam Se Kam Haal-E-Hijr Me Khauf-E-Judaai Nahin Hoti
Aasuon Ki Keemat Ashk Nahin Hoti
Kaabil-E-Bahut Hein Vo Aasoon
Jinhe Girne Na Diyaa Jaaye