Paida Hone Se Maot Taq Ka Faslaa Hai Jindgi
Durd Or Aaram Ka Ek Kaafila Hai Jindgi
Jitna Ise Suljhaoge Utni Uljhti Jaayegi
Ansuljhi See Paheliyon Ka Silsila Hai Jindgi
Mana Bahut Sangeen Hai Par Lutf Bhi To Hai Yanhaa
Hur Shaks Ke Hisse Mai Aaya Aasma Hai Jindgi
Daodte Or Bhagte Lamhon Kee Kalam Se Likhi Hui
Hur Aadmi Kee Chhoti See Ek Dastaa Hai Jindgi
Rishtey Yanhaa Banaye Hai Hur Aadmi Ke Waste
Un Rishton Ko Gahraai Se Nibahana Hai Jindgi
Armaan Sazati Rahti Hai Or Kwaab Dikhati Rahati Hai
Kuchh Anchhui See Husrton Ka Aasra Hai Jindgi
Door Se Dekho Agar To Ek Huseen Sa Khwaab Hai
Paas Aa Jao To Fir Ek Jaljala Hai Jindgi
Kya Hai Jo Isme Khoob Hai Kya Hai Kami Jiski Rahi
-Ë—anish-‘ Aaj Taq Samjaha Nahi Ke Aakhir Kya Hai Jindgi