Pahle To Husn-E-Aml, Husn-E-Yaqeen Paidaa Kar
Phir Isie Khaak Sey Firdaus-E-Barien Paidaa Kar
Yehi Duniyaa Keh Jo Butkhanah Bani Jaati Hai
Iss Butkhane Se Kaabe Ki Zameen Paidaa Kar
Rooh-E- Aadam Nigran Kab-Sey Hai Teri Jaanib
Uth Aur Aik Junnat-E-Jaaved Yahin Paidaa Kar
Khas-O-Khashake Tawahum Ko Jalaa Kar Rakh De
Yaani Aatishkadaa Soz-E- Yaqeen Paidaa Kur!
Ghum Mayasser Hai To Issko Ghum-E-Kunain Banaa
Dil Haseen Hai To Mohabbat Bhi Haseen Paidaa Kur
Aasmaan Markaz-E- Takhayyul Va Tassavvur Kab Tak
Aasmaan Jiss Se Khajil Ho Woh Zameen Paidaa Kur
[Khajil= Sharminda, Ashamed]
Dil Ke Her Qatrah Mein Tufaan-E- Tajjalli Bhur De
Batan Her Zarre Se Ek Mahr-E- Mahein Paidaa Kur
Bandagi Yun To Her Insaan Ki Fitrut Lekin
Naaz Jiss Per Karien Sijdey Woh Jabin Paidaa Kur
Pasti-E-Khaak Peh Kub Tuk Teri Bebaal Wa Pari
Phir Muqaam Apnaa Sar-E-Arsh Barein Paidaa Kur!
Ishq Hi Zindah Va Pabandah Haqiqat Hai Jigar
Ishq Ko Aa’m Banaa, Zauq-E- Yaqeen Paidaa Kur