Pagliyon Ka Shareer Unka Khud Ka Nahi Hota,
Kahte Hain Unka Mastishk Nahi Hota,
Isliye Unki Hansi Ka Mat-Lab,
Jaroori Nahi Hansi Ho,
Unke Rone Ka Matlab Bhi Jaroori Nahi,
Ve Ro Rahi Hon,
Pagliyan Azeeb Jeev Hoti Hai,
Wo Auraton Ki Bhanti Prateet Hoti Hain,
Lekin Unme Aurat Jati Sa Virodh Nahi Hota,
Unhe Akele Paakar Un Par,
Siyar Ki Tarah Jhapta Ja Sakta Hai,
Wah Thoda Chilla Sakti Hai Lekin,
Wah Dhawni “Bachao-Bachao” Ki Nahi Hoti,
Matr Unme Mastishk Hi Nahi Hota,
Shesh Poora Shareer Auratpan Se Bhara Hota Hai
Unme Bhi Garbhashay Hota Hai,
Lekin Wah Bhi Mada Janwar Ki Tarah
Bachchon Ke Pita Ko Bhul Jaati Hai
Wah Bhi Auraton Ki Tarah Hi
Nou Mahine Navjaat Ko Garbh Me Paalti Hai
In Nou Mahino Ke Douran
Unme Matratatv Bhav Jaag Hi Jaata Hai
Apne Paida Hue Bachche Ke Liye
Maine Ek Pagli Ko Dekha Hai Apne Bachche Ko
Chaati Se Chipkaaye Hue