Paali Khushian Tune Mera Dil Jalakar
Bol Kya Tu Jee Sakegi Mujhe Bhoola Kar
Tu Khush Reh Har Pal Teri Khushion Ke Liye Mujhe Gham Se Bhi Pyaar Hai
Bata Ek Pal Ke Liye Bhi Kya Tujhe Mera Intezaar Hai
Apna Ujdaa Ashiaana Is Baat Ka Mujhe Gila Nahi
Main Kya Gila Karoon Tujhe Dusra Koi Mila Nahi
Meri Barbaadion Par Tune Lakhon Khushiaan Manaai
Bata Zindagi Mein Phir Tu Muskuraai
Tu Khush Rehna Sadaa Ye Meri Dua Hai
Teri Har Khushi Ke Peeche Meri Hi Sadaa Hai
Kar Gayi Tu Mujhse Bewafai Ye Mera Naseeb Hai
Magar Khush Rakhna Tu Use Jo Tere Dil Ke Kareeb Hai
Ye Mera Mukkaddar Nahi Ke Paa Sakoon Mein Zamaane Se Mohabbat
Kyun Ki Khatam Hogayi Aaj Duniya Ko Meri Zaroorat
Aaj Main Jaa Raha Hoon Duniya Se Mohabbat Ko Zindagi Dene Ke Liye
Bujha Raha Hoo Main Apna Charag Zamaane Ko Roshni Dene Ke Liye
Na Samjh Tha Main Ke Har Ek Par Aitbaar Kiya
Jisne Bhi Mujhse Muskuraake Baatein Ki Us Se Pyaar Kiya
Ab Jaa Raha Hoon Main Duniya Se Haath Choorakar
Arzoo Hai Yaad Karna App Hume Kabhi Bhoolakar
Khushian Mubarak Ho Tumhe Apna To Yahi Paigaam Hai
Apko Aur Saare Zamaane Ko Mera Aakhri Salaam Hai