Pa Ke Daga Aur Fareb Zamane Me Reh Gaye
Hum Dosti Ka Farz Nibhaane Me Reh Gaye
Palak Jhapkte Duniya Humse Aage Nikal Gayi
Hum Dosto Se Haath Milaane Me Reh Gaye
Dekhte Dekhte Ho Gaya Wo Aur Kisi‚  Ka, Aur
Hum Apne Dil Ko Samjhane Me Reh Gaye,
Duniya‚  Apni Ujaad Li Unko Paane Ki Chah Me
Aur Woh Apna‚  Ghar Basaane Me Reh Gaye,
Hamare Saare Rishte Unse Shuru Unpe Khatam
Wo Hamari Dosti Ko Aazmane Me Reh Gaye
Chhor Diya Unko Unki Khusi Ki Khatir Dosto
Hum Phir Gumnaam Veeraane Me Reh Gaye