Ous Sounsaan Raat Main Akele Nahin The Wo,
Saath Main Saagar Ki Thandi Leher Bhi Thi
Aur Wo Baithe Baithe Tanhaai Ki Awaaz
Ko Mehsoos Karne Ki Koshish Kar Rahe The
Akaash Ke Tare Youn Jhilmila Rahe The Mano
We Muskourate Poonam Ke Chand Ke Saath
Koyi Na Koyi Shararat Karna Chahate Hoo
Ounhon Ne Bhi Chand Ki Taraf Nazar Outhayi
Aur Ousko Nihaarte Houe Soch Main Par Gaye
Kya Hamara Apna Andekha Pyar Bhi Itni Hi
Masoom,Itni Hi Komal,Itni Hi Pyari Si Hogi?
Itne Main Ek Touta Sitara Akaash Se Girkar
Wahan Se Gouzra
Dhire Se Hawaaon Ne Kavi Ke Kaanon Main Kaha
Abhilasha Ho Koyi To Uparwale Se Kehdalo,
Ouske Poure Hone Main Jyada Der Nahin Lagegi
Kavi Ne Aasmaan Ke Taraf Apne Donon Hanthon Ko
Outha Kar Uparwale Se Bas Ek Yehi Doua Mangi
Apne Iss Gehre Saagar Ko Syaahi Se Bhar Dalo,
Badal Dalo Apne Aakash Ko Safed Kaagaz Main,
Sare Ped-Pawdhon Ko Ek Kalam Ka Roup De Dalo
In Sabon Ka Suprayog Karke Ye To Likh Sakoun
Ki Ounke Liye Hamara Pyar Kitna Anupam Hai
Meri Prakriti Ka Toumhare Pyaar Se Kya Vaasta?
Uparwale Ne Kaha Toumhare Sache Pyaar Ke Aage
Hamare Teenon Lok Chota Sa Kangkar Jeissa Lagega
Sounon We Kehne Lage Kavi Se,Ek Baat Kahoun
Mujhe Toum Itna Hi Sa Pyaar Do Aur Mera Jannat
Toumhara Aur Sirf Toumhara Hi Banke Rahega
Na Jagat Ki,Na Jannat Ki,Na Hi Aasmaanon Ki
Kavi Ka Jawab Houa Uparwale,Hamein Sirf Apne Pyar
Ki Ankhon Main Kavita Bankar Rehne Ki Abhilasha Hai