O Betaab Safed Dil Wale Huzoor,
Zara Aasman Ke Chaand Pe Nigaah Pheriyega,
Rabb Ne Chaand Ko Kitni Fursat Se Tarashha Hain,
Uss Amber Kii Ronak Badhhane Ke Liye,
Kitna Nirmal Roop Hai Chaand Kaa,
Kitna Khoobsurat Hai Kudrat Kaa Banaya Hua Ye Dastoor,
O Betaab Safed Dil Wale Huzoor, Zara Gaur Farmaiyega,
Rabb Ne Chaand Ko Kisi Kii Nazar Naa Lage Iss Vastey,
Ekk Kaala Daag Usko Saugat Mein Diya Hain,
Raat Hote Hii Chaand Apni Chandni Ko Failaane Aa Jaata Hain,
Chahe Koi Bhi Aakar Mein Ho,Chahe Aadha Ho Ya Pura,
Chahe Purnima Ka Avsar Ho Ya Idd Kaa,
Ekk Daag Sa Uske Aks Mein Jhalakta Hai Sada,
Laakh Chaha Hoga Uss Aasman Ke Chaand Ne Bhii,
Koshish Usne Bhi Ki Hogi Apne Daag Mitaake Aur Khoobsurat Hone Ki,
O Safed Dil Wale Huzoor, Zara Sunta Jaa Meri Ek Baat,
Ye Kudrat Ki Rachna Hai, Isse Koi Nahi Badal Sakta,
Ye Kaala Daag Kaali Kaajal Se Rabb Ne Chaand Pe Laga K Rakhha Hain,
Jab Tak Chaand Rahega, Ye Daag Uske Saath Rahega,
O Safed Dil Wale Huzoor, Ab Zara Mujh Se Aankh Milaake Puchh,
Tum Mein Puchhne Ka Damm Nahi Naa Sahi,
Mujh Mein Jazbaat Bayaan Karne Ka Hunar Hai,
Dil Kaise Safed Hoga Mera,
Jab Mere Chaand Ke Vastey Banayii Huii Kajaal Hoon Main,
O Safed Dil Wale Huzoor, Tera Dil Safed Hai Naseebwala Hai Tu,
Main Naseeb Chaahe Naa Leke Aayee Hoon Iss Jahan Main,
Per Garv Hai Mujhe Apne Daag E Dil Pe,
Ki Main Chaand Ke Siney Main Basti Hoon,
Jab Tak Tu Chaand Ko Dekhega, Usse Akela Kabhi Na Paayega,
Mera Dil Safed Nahi Kyunki Main Ek Daag Hoon,
Main Apne Chaand Ko Dil Mein Basake Rakhtti Hoon,
Mere Pyaar Ko Chaand Ka Khitaab Diya Hai Maine,
Haan Haan -Â…main Pyaare Chaand K Naam Banna Daag Hoon -Â…
O Safed Dil Wale Huzoor, Sunta Jaa Iss Kaale Dil Ki Baat,
Chandni Chhod Degi, Chaand Ka Saath,
Dharti Na Mila Paayegi Uss Chaand Se Haath,
Kaii Sitarein Chaand Ke Ird-Gird Jhagmagayenge,
Per Ye Kaala Daag Chaand Ke Sabse Kareeb Paaya Jaayega,
Rabb Ki Banai Hui Murat Hoon Main, Rabb Ki Banai Hui Surat Hoon Main,
Mujhe Rab Ne Banaya Hai, Kisi Kaali Sheh Se Hii Sahi,
Mere Chaand Ko Kisi Bhi Safed Dilwale Ki Nazar Na Lage Ye Vaaste,
Sirf Chaand Ka Saath, Subah Aur Shaam Dene Ke Liye,
Main Sada Chaand Ke Saath Aasman Ki Sair Karti Rahoongi-Â…
O Safed Dil Wale Huzoor,Aaj Keh Diya Aakhri Baar,
Ab Na Kehna Phir Kabhi Iske Baad-Â…
Apne Dil Mein Safedi Bharne K Vaaste Dekh Liya Safed-Dil Walon Ki Sangat Mein Rehke ,
Per Jab Tak Ye Saansein Barqarar Hai Ye Daag Nahi Mitega,
Mera Pyaar Koi Daag Nahi Jo Kisi Ke Kehne Pe Mar Jaayega,
Jab Tak Kudrat Kii Kalpana Aadharit Aasmaan Kaa Chaand Hai ,
Kaala Daag Bhii Uske Saath Hai..