Noor Ko Zulmat-E-Shab‚  Shab Ko Charaaghaan Bolain
Aur Ji Chahe To Zarre Ko Bayabaan Bolain
Laal-O-Gohar Ko Kabhi Sang-E-Faro Maya Kahain
Aam Pather Ko Kabhi Laal-E-0badakhshaan Bolain
Us Ki Aankhoon Ko Kabhi Deeda-E-Akhtar Keh Dain
Aur Chahain Tu Unhain Chashm-E-Ghazalaan Bolain
Jis Ki Qeemat He Na Ho Us Ki Laga Dain Qeemat
Besh Qeemat Ko Ager Chahain Tu Arzaan Bolain
Boldain Bazm-E-Charaaghaan Ko Kabhi Weshat-E-Shab
Dasht-E-Wehshat Ko Kabhi Bazm-E-Charaaghaan Bolain
Phool Ko Khar Kahain Khaar Ko Gulshan Keh Dain
Aur Phir Fasl-E-Khizaan Ko Bhi Baharaan Bolain
Rafaatoon Ko Bhi Kabhi Qaar-E-Muzallat Keh Dain
Tooti Khatya Ko Kabhi Masnad-E-Shahaan Bolain
Wadi-E-Laala-O-Gul Ko Bhi Bayaabaan Keh Dain
Aaap Chahain Tu Kharaabe Ko Gulistaan Bolain
App Taryaaq Ko Bhi Zehr-E-Hala Hal Bolain
Harf-E-Shireen Ko Namak Dard Ko Darmaan Bolain
Harf-E-Aaghaaz Ko Anjaam-E-Fasaana Bolain
Harf-E-Aakhir Ko Kabhi Baab Ka Unwaan Bolain
Dastaras Main Jo Na Ho Us Ko Kahain Kunj-E-Qafas
Jis Pe Bhete Hoon Use Takht-E-Sulaimaan Bolain
Jo Kabhi Mil Na Sake Us Ko Na Kuch Bhi Kahiye
Jo Mile Us Ko Pari Ro Shah-E-Khoobaan Bolain