Nisar Teri Gali Ke Aye Watan Jis Se
Sadi-Gali Hui Lashon Ki Boo Nikalti Hai
Yehi Gali Tera Aadarsh Hai, Namuna Hai
Isi Gali Maen Teri Tahzib Palti Hai
Nisar Tujh Pe Aye Watan Ke Tere Saputon Ne
Baha Diya Teri Galion Maen Khun Ki Dhara
Sunayen Kya Tujhe Rudaad Een Daridon Ki
Ke Maa Ki Kokh Se Bacha Nikal Kar Mara
Nisar Tujh Pe Watan Ke Ye Rahbaran-E-Watan
Ye Mujremin Jinhe Shauk Hai Hikmat Ka
Bahut Zalil Kiya Tujh Ko Bazm-E-Alam Maen
Mazaq Udta Raha Hai Teri Siyasat Ka
Jahan-Jahan Bhi Tera Zikr Aye Watan Nikla
Wahan-Wahan Pe Jhuka Lee Hai Sarm Se Gardan
Lagai Hai Aag Jab Khud Hi Baghbanon Ne
To Kis Tarah Se Bujhega Ye Shol-E-Gulshan