Nijaat Qaid-E-Gham Se Mujhko Dilaa De Saaqi
Main Haath Jodta Huun Zahar Pilaa De Saaqi
Tere Dar Pe Main Badii Aas Liye Aayaa Huun
Ashk Aankhon Mein Hain Tuuta Hua Dil Laya Huun
Suna Hai Dard Ke Maaron Ko Panaah Milti Hai
Dil Ke Zakhmon Ki Tere Paas Davaa Milti Hai
Mujhe Vo Jaam De Ke Pee Ke Dam Nikal Jaaye
Tadap Rahi Hai Jaan Kuch Sukuun Mil Jaaye
Main Zindagi Se Ab Nibaah Kar Nahiin Sakta
Main Roz-Roz,Lamha-Lamha Mar Nahiin Sakta
Maine Chhoda Tha Zamaana Jisey Paane Ke Liye
Usii Ne Chhod Diya Mujhko, Zamaane Ke Liye
Tavvaqo’aat* Se Daaman Ko Chudaaya Hi Nahiin
Dil Ne Us Shakhs Ki Yaadon Ko Bhulaaya Hi Nahiin
Tavvaqo’aat = Expectations , Ummiidein
Maine Bacchon Ki Tarah Dard Ko Paalaa Dil Mein
Muddaton Zakhm-E-Mohabbat Ko Sanbhaala Dil Mein
Dil Ke Tukdon Ki Khalish Ab Nahiin Sahi Jaati
Mujhse Haalaat Yeh Apni Ab Nahiin Dekhii Jaati
Jaan Dene Ke Ilaawaa Ko_ii Chaara Hi Nahiin
Ab Mera Zindagii Ke Saath Guzaara Hi Nahiin
Meri Saanson Ka Diyaa Aaj Bhujhaa De Saaqi
Main Haath Jodta Huun Zahar Pilaa De Saaqi