Neend Unko Aa Rahi Hai Palke Jhapak Rahe Hai
Lo Band Hu Raha Hai Mera Sharab Khana,
Gajab Khuda Ka Abhi Daasta Ka Aagaaz
Aur Veh Kehte Hai Hume Neend Aayi Jati Hai,
b Bas Angraiiya Le Le Ke Kyu Aankhon Ko Malte Hu
Bhala Yeh Bhi Tu Ghar Hai Soo Jaoo Ju Neend Aayi Hai,
Suraj Na Dubta Hai Naa Aati Hai Mujhe Neend
Julfein Bikher Dijiye Aur Raat Kijiye,
Ek Ek Kar Ke Bhuj Chuke Hai Chirag
Neend Ab Dekhiye Kab Aati Hai,
Neend Aati Hai Khuli Aankh Se Darr Jati Hai
Sehmi-Sehmi Huee Chup Chaap Nikal Jati Hai,
Neend Bhi Kabhi Naaznin Se Kam Nahi
Aate Aat Sehar Tak Aayegi,
Meri Laash Ke Sirhane Veh Khade Yu Keh Rahe Hai
Isse Neend Yu Naa Ati Agar Intezar Hota,
Neend Uski Hai,Din Uska Hai,Raat Uski Hai
Jiske Shaane Par Julfein Pareshaa Hu Gayii