Nayee Deewar Naya Dar To Naye Log Milenge,
Lekin Poorana Ghar To Koi Bhoolta Nahii.
Hain Zindagii Zaalim Beraham Maut Bhii Lekin,
Duniya Kaa Ye Manzar To Koi Bhoolta Nahii.
*Maanind-E-Maah-E-Eid Bhool Jaao Bhii To Theek,
*Ehad-E-Wafa Aksar To Koi Bhoolta Nahii.
*Maanind-E-Maah-E-Eid = Eid Ke Chaand Kii Tarah (Rarely)
*Ehad-E-Wafa=promise To Be Faithful
Mumkin Hain Yaad Naa Ho *Shab-E-Wasl Kii Batein,
Par *Silwat-E-Bistar To Koi Bhoolta Nahii.
*Shab-E-Wasl=milan Kii Raat
*Silwat-E-Bistar=wrinkels On The Bed (Or Bed Sheet)
Arz-E-Wasl Par Hua Hai Huqm-E-Sarr Kalam,
Woh Jaante Hain Apna Sar To Koi Bhoolta Nahi.
Arz-E-Wasl=request To Meet, Huqm-E-Sarr Kalam = Order To Behead
Ye Kya Ke Aap Karke Bhool Jate Ho Talib
Kiye Ehsaan Jo Tum Par To Koi Bhoolta Nahi