Naye Libaas Pahankar Naa Nlkal Sakogi Baahar
Khidaki Par Bhii Naa Baidanedaige Gharwale
Muhabbat Her Daur Main Gunah Thaa Or Hain
Ye Baat Aakhir Samjha Hi Denge Duniyawale
Unki Samjhaish Par Tumhe Apne Gunaz-E-Ajeem Ka Elm Ho Jayega
Kitab-E-Zindagi Se Tumhari Varak-E-Muhabbat Mera Kahin Kho Jayega
Kyu Kee Ek Waqt Aisa Bhi Aayegaa……….
Mujhse Milne Baat Karne Ka Khayal Na Lapaogi Dil Mein
Magar Main Janta Hoon Mujhe Bhula Bhi To Na Paogi Tum
Bahut Koshish Karogi Magar
Ashk Besakhata Se Nikal Hi Aayenge
Bade Ziddi Hai Zahan-O-Dil Ki Tarah Gafil-O-Beazm Nahin
Tumhari Samjhaish Mein Na Aayenge Mujhse Juda Hokar Tumhara
Khud Se Bhi Kahan Koi Vasta Rah Jayega
Dil Mein Lamha-Dar-Lamha Umadate Zasbaaton Ko Dabaye Hue
Khud Ko Ghar Ke Kaamon Mein Har Zad Tak Duba Dogi
Zindagi Se Khafa,Khushiyon Se Naraaz-Si Tum,Jab Bhi
Sar-E-Aeena Hogi,Mujhse Baat To Karna Chahogi