Navakif Sanam Anjaan Mohabbat Meri
Sharif O Darmiyaan Badnam Mohabbat Meri
Bewafa Naam Hai Jis Dar Ka Usi Par Aksar
Talaash Karta Hun Benaam Mohabbat Meri
Sahar Ke Intzaar Me Shamaa Si Jalte Hue
Sorat E Sham Hai Viraan Mohabbat Meri
Kaapta Hun Waqt Ke Hathoon Mazboor Ho Kar
Ho Na Jaye Kahin Nilaam Mohabbat Meri
Ajnabi Rishtoon Me Apne Vajood Ki Khatir
Bhatakti Rahti Hai Parishan Mohabbat Meri
Aaj Dil Bhar Gaya To Aankh Bhar Aayi Varna
Yoon Na Roti Thi Sare Aam Mohabbat Meri
Zindgi Bhar Jise Pooja Khuda Kah Kar Huyi
But Usse Jaan Kar Hairaan Mohabbat Meri
Pyar Karna Bhula Dena Aaj Ka Daur Hai
Dastoor E Ulfat Se Hai Nadan Mohabbat Meri