Naraz Hai Hum Rab Se Koi Aur Ab Hume Manaye Kyun
Jab Likhein Hain Ansun To Ab Phir Mushkuraye Kyun
Dil Jala Hai Ab Jism Rakh Ho jaye To Fark Ab Kya Hoga
Dil Hi To Tha Iske Liye Ab Shokh Manaye Kyun
Berang Mohobbat Thi Jo Zindagi Ko Berang Kar gayi
Naam Kisika Khoon E Jigar Pe Sajayein Kyun
Lakh Chaha Ke Hum Bhi Andekha Kardein Unhe Milte Waqt
Par Gar Bewafai Usne Ki To Nazrein Hum Churaye Kyun
Ankh Jukhayenge To Salam Karenge Milayenge To Sabab Puchenge
Hum To Ab Bhi Unpe Marte Hai Dushmani Jataye Kyun?
Marham Lane Bheja Tha Wo Zeher Laye Humari Rukhsat Ko
Dil Na Mila Na Sahi Ab Mehboob K Hathon K Zeher Ko Thukraye Kyun
Nadaan Hain Wo Jo Dawaa Karte Hai Mohobbat Ko Bhul Jane Ka
Hum Un Fareebi-Jhooton Mein Milkar Yeh Jhoot Fehlaye Kyun
Sajda Kiya Hai Uska Manga Hai Usse Khuda Se Meine
Ab Kismat Mein Yaar Nai To Is Ishq Pe Pachtaye Kyun