Nami Baaki Rahe Aankhon Mein, Daaman Tar Naheen Karnaa!
Rahe Gauhar* Samandar Mein, Unhen Beghar Naheen Karnaa!
*Gauhar – Perl
Ye Fasl-E-Khwaab Ik Din Lah-Lahaa’egii Haqiiqat Men,
Nigaahon Ki Zameen Ko Seenchnaa, Banjhar Naheen Karnaa!
Kabhii Gairon Kii Mehfil Men, Na Ruswaa Kar Azeezon Ko,
Tu Ghar Kii Baat Kaa Charchaa Kabhii Baahar Naheen Karnaa!
Koii Apnaa Bhale Hii Mud’daton Ke Baad Ghar Aaye,
Gile-Shikwe Hazaaron Kar, Takal’luf Par Naheen Karnaa!
Kisii Chhaatii Men Tere Laf’z, Nashtar Se Na Chubh Jaayen,
Kalam Ko Bas Kalam Rakhnaa, Ise Khanjar Naheen Karnaa!
Rasoyee Men Rakhe Bartan To Zaahir Hai Ki Khankenge,
Zaraa Sii Baat Par Haal E Watan Badtar Naheen Karnaa!
(Apne Naanaa Jaan (Nanaa Jii ) Ke Inteqal (Dehavsaan) Par Unhe Naz’r Maqta’h)
Khudaa Ke Huq’m Se Ik Zinda’h-Dil Rukhsat-Talab Hai “Dheer”,
Use Hanste Hue Rukhsat Karo, Rokar Naheen Karnaa!