Nakam Mohabbat Ka, Dastur Nibhane Aya Hai
Tera Ansu Tara Ban Ke, Rah Dikhane Aya Hai
Khud Ro Ro Ke Aise Tu, Mujhe Rulane Aya Hai
Aag Lagane Aya Hai ,Ki Aag Bujhane Aya Hai
Ishq Me Mit Ke Mujhe, Manzil Mil Gayee Jaise
Tu Bhola Manzil Se Phir, Rah Pe Lane Aya Hai
Syahee Ban Nayee Kahanee, Phir Se Ye Likh Dalenge
Tu Ankhon Ke Panee Se, Likha Mitane Aya Hai?
Char Pahar Tak Haathon Se, Tere Ansu Ponche Hain
Kaun Manega Mere Ghar, Tu Mujhe Hansane Aya Hai
Mujh Tak Aane Se Pahale, Ye Do Baten Samjha De
Mujhe Bulane Aya Hai Ya, Mujhe Bhulane Aya Hai
Meri Raah Pe Aaj Woh Apne, Sare Ansu Ro Dega
Garm Zamee Par Ankhon Se, Phul Bichane Aya Hai
Main Kal Tak Tera Tha, Aaj Bhee Bas Tera Hun
Duniya Se Chip Chip Ke Ab, Tu Kya Pane Aya Hai
Sar Utha Kee Cheena, Jisne Kal Mujh Se Tujh Ko
Sar Jhuka Ke Aaj Wo Mujh Se, Tujhko Pane Aya Hai
Tu Mera Sab Kuch Hai, Aur Main Tere Koyee Naheen
Kya Uljhan Hai Is Rishte Main, Kya Suljhane Aya Hai
Tere Ghar Main Bhee Hoon Aaj, Aur Woh Bhee Aya Hai
Koyi Umr Mitane Aya Hai, Koyi Umr Bitane Aya Hai