Nahin Main Tera Pyaar Tera To Itna Bata De
Ke Tere Ishq Mein Hum Bekaraar Kyun Hain
Kabhi Khamoshiyon Se Bhee Tune Dekha Hain
Kaise Bataayen Bhala Tera Intezar Kyun Hain
Koi Na Koi To Rishta-E-Zaan Hai Tera-Mera
Nahin To Mujhpe Ye Tera Ikhtiyaar Kyun Hain
Sabr Milta To Hai Tere Aane Ke Baad Bhee
Tere Jaane Ke Baad Bhi Tera Intezar Kyun Hain
Kabhi Khamosh Se Milte Ho Kabhi Adaaon Se
Gar Ho Ajnabi To Phir Ye Takraar Kyun Hain
Agar Mian Tumko Dekhta Hoon To Sharmatekyun Ho
Gar Poonchte Hain Haal-E-Dil Bhi To Inkaar Kyun Hain
Raaz-E-Ishq Tune To Chupaya Hai Apni Aankhon Mein
Phir Bhi Bhala Ye Charcha-E-Sar-E-Baazar Kyun Hain
Kabhi Jo Humne Maanga Gam-E-Ishq Ka Hisab Bhee
Koi Sila To Deejiyega Mujhko Apni Nazren Jhukakar