Nahi Zahir Kar Paaya Main Khud Ko,
Tairi Ankhon Mai Kisi Or Ke Basne Se Pehle
Aaj Pehli Baar Ehsaas Hua Duniyan Ujarne Ka,
Ik Nayi Duniyan Basne Se Pehle
Khush Raha Karta Tha Main Har Waqt,
Kuch Unchaahe Lamho Ko Jeene Se Pehle
Aaj Roothi Zindagi Ko Bhi Taras Na Aaya Mujhpe,
Mile Kuch Or Naye Zakham Puraane Seene Se Pehle
Band Ankhon Se To Khwaab Aksar Dekha Karta Tha,
Kuch Rishte Pehle Hi Toot Gaye Sapne Poore Hone Se Pehle
Aaj Khuli Ankhon Se Dekha Maine Aane Wale Kal Ko,
Kandha Diya Khud Ke Janaaze Ko Maire Marne Se Pehle
Mairi Khaamoshi Hi Sazaa Ban Gayi Mairi,
Kash Main Keh Sakta Kuch Baaten Waqt Beetne Se Pehle
Aaj Tukro Mai Nazar Aata Hai Yeh Dil Ek Baar Fir,
Taira Dil Jeetne Se Pehle
Nahi Zahir Kar Paaya Main Khud Ko,
Tairi Ankhon Mai Kisi Or Ke Basne Se Pehle