Nagari Nagari Phira Mussafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Praya Bhool Gaya
Kyon Bhoola Kaise Bhoola Kyon Puchhte Ho Bas Yoon Samjho
Kaaran Dosh Nahin Hai Koi Bhoola Bhala Bhool Gaya
Jisko Dekho Uske Dil Main Shikwa Hai To Itna Hai
Humen To Sab Kuch Yaad Raha Par Hamko Zamaana Bhool Gaya
Koi Kahe Yeh Kisne Kaha Tha Keh Do Jo Kuch Dil Main Hai
-Ë—meera-‘ Ji Keh Kar Pachhtaya Aur Phir Kehna Bhool Gaya
Nagari Nagari Phira Mussafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Praya Bhool Gaya