Nafrat Se Karna Yaad Mujhe, Zillat Se Lena Naam Mera
Be-Iradaa Hi Sahi Main Gunehgaar Hoon Tera
Meri Nazar Main Ek Chaand Roshan Hai Mujhse Na Jugnu Ki Roshni Ka Wada Keeje
Mukkammal Nahin Ye Roshni Mere Tareek Jahan Ke Liye Aap Ab Apna Kuch Aur Irada Keeje

Nahin Parda Kahin Koi Fir Bhi Pardedari Rahe
Khwaish Hai Ab Yahi Ki Umrbhar Teri Khumari Rahe
Darwaza-A-Dil Pe Dastak Hai Tu Sun Bhar Le, Chahe To Mera Deedar Na Kar
Main Har Haal Main Khush Hoon, Bas Tu Mujhe Dil-A-Daayare Se Darkinaar Na Kar
Ho Jaate Hain Teri Aakhoan Ki Khashish Main Gum Aur Asal Baat Hamse Kabhi Kahi Nahin Jaati
Kai Baar Huye Hain Buland Hosale Mere Magar Meri Aawaz Ki Larzish Nahin Jaati
Jisane Hari Ho Zindagi Ki Har Baazi Oos Shakhshiyat Ko Kya Kaha Jaaye
Koi Haare Hamse Bhi Dil Apna To Naam-A-Shayar ‘Vijay” Ho Jaaye