Nafrat Karu Khud Se Isse Kaya Naam Du
Apni Hi Kahani Ko Bata‚  Kaya Anjaam Du
Agg Laga Du Duniya Ko Ya Khud Ko Jala Du Main
Kaya Hai Tere Dil Mai Pooja Aa Aaj Samjha Du Main
Duniya Ki Hai Reet Wahin, Phir Se Dhoka Khayegi
Such Kahti Hu Maan Ja Phir Se Puchtayegi
Nasoor Bane Dard Ko, Kab Tak Sahlayegi
Kuch Bhi Kar Le Man Ki Peera Khatam Na Ho Payegi
Likhati Rah Ya Band Ankhon Se Ansoo Barsaye Ja
Kabhi Gusse Se Kabhi Bebasi Apni Per, Dil Tadpaye Ja
Kabhi Khaomshi Se Aor Kabhi Cheekh Pukar Muchaye Ja
Puchati Rah Her Ek Se Hazaaro Sawal Uthaye Ja
Koi Jawab Tere Dard Ka Ant Na Kar Payega
Jis Mitti Se Bani Tu Pooja Ek Din Ussi Mai Mill Jayega
Mitti Kismat, Mitti Zindagi, Mittaye Na Dard-O-Gum
Likhati Rahugi Aise Hi Jab Tak Likhne Ka Hai Dum