Naa Maine Tare Sajaye Na Suraj Ugaya
Tu Kaise Mujhe Naam Shayar Ka Deta Raha?
Aa Gaya Patjhaad Na Rok Saka Use
Mein To Duniya Ke Badltee Rang Dhuundta Raha
Jalte Suuraj Ki Tarah Main Aasman Se Gira
Yeh Shaher Mujhe Tamashee Ki Tarah Dektaa Raha
Dhuk Yeh Nahi Ke Haadsa Huya Aur Woh Mar Gaya?
Dhuk Yeh Hai Ke Hadsa Haar Pal Hota Raha
Thee Bahut Gahree Udasee Mere Apne Dil Mein
Main Yun Hee Khali Aasman Ko Dekhta Raha
Uskee Rag-Rag Mein Main Apna Khuun Na Deekh Saka
Us Dubte Huye Suraj Ki Laali Mein Dubta Raha