Na Ye Chahat Rakhi Thi Kabhi Ki Tum Sirf Mere Hi Bano
Main To Hamesha Bas Tujhe Chaahti Rahi Thi
Na Ye Arzoo Ki Kabhi Ki Mere Pyaar Ka Jawaab Do
Sirf Pyaar Hi Pyaar Se Main Dekhti Tujhe Rahi
Ek Ehsaas Tha Dil Me Jo Tujhe Dekh Jaag Uthta Tha
Us Ehsaas Ko Khamoshi Se Mehsoos Karti Gayi
Teri Hi Rahon Me Thibas Tere Kareeb Rehne Ko
Tu Dekh Na Sake Mujhechup Chup Tujhe Nihaarti Rahi
Guzar Gaye Dinguzar Gaye Kai Saal Aise Hi
Tere Hi Khwaab Aankhon Me Sajaati Rahi
Na Chaha Kabhi Ye Khwab Tum Aakar Poore Karo
Dil Ke Armaan Dil Me Paida Kar Wahin Todti Rahi
Khamosh Lafzkhamosh Aankheinkhamosh Zindagani
Is Tarah Waqt Ke Saath Main Jeeti Gayi
Jaanti Thhi Tootenge Ye Pyaar Ke Khwab Ek Din
Isliye Inhe Khud Bun Khud Hi Main Bikherti Gayi
Tu Hai Aaj Kisi Aur Kalekin Main Hun Sirf Teri
Apni Pyaar Bhari Duniya Me Tujhe Basaati Gai Main
Na Tujhe Kal Khabar Thhina Aaj Khabar Hai Ye
Muskuraahat Me Har Ek Ashq Peeti Gayi Main
Meri Chahat Thhi Bas Yahi Ki Tujhe Chaahti Rahoon
Teri Khushiyon Ko Tere Kareeb Rehke Nihaarti Rahun
Jaanti Thhi Agar Maine Ikraar Kar Diya Mohabbat Ka
Na Koi Rishta Reh Paayega Phir Tere Kareeb Rehne Ko
Ek Maamooli Dost Bankar Hi Sahimanzoor Tha Mujhe
Bas Teri Zindagi Me Rehne Ko Pyaar Dabaati Rahi
Teri Awaaz Sun Sakoontujhse Baat Kar Sakoon
Is Khaatir Nigaahon Ko Apni Khamosh Karaati Gayi
Jo Tujhe Pata Chal Jaata Kitni Mohabbat Hai Tumse
Jaanti Hunphir Na Koi Apna Rishta Reh Paata
Chup Chup Ke Sahi Ye Pyaar Nibhaaungi Zindagi Bhar
Khamosh Thi Khamosh Hi Reh Jaayegi Ab Ye Mohabbat