Na Tujh Pe Jafa Ka Koi Ilzaam
Na Main Apni Ulfat Pe Sharamsaar
Tagaaful Na Pashaymaani Na Koi Shikayat
Bus Zindgi Ko Dekha Apne Apne Andaaz Se Humne
Main Ishq Ko Samjta Hu Zindgi Ka Muqadar
Tune Muqqadar Ko Bas Zindgi Samjha
Main Jin Zulmaton Pe Uthaata Raha Barbat-E-Bagawat
Tuna Unhi Aqaayud Ko Roshni Samjha
Main Banata Hi Raha Hasin Khawabon Ke Ghronde
Mujhko Na Tha Pata Ki Tera Guzar Inmain Kahan
Tu To Dhoondhti Phirti Thi Ik Kafas Sandli
Maray Tassuvar Main Tha Teray Liyay Ik Aazaad Jahan
Maine To Chaha Tha Tum Humqadam Ho Ke Chalo
Tumnay Visay Main Paya Hai Magar Aqeedat Ka Bharum
Meri Ulfat To Thi Braabar Ki Dosti
Teri Ulfat Rahi Meri Mohtaaj-E-Karam
Meri Tamanna Thi Ki Tumujhay -ŗtu- Ho Kay Milay
Toonay Khudi Ko Apni Biknay Kay Liyay Paalaa Tha
Meri Hasrat Ki Tu Isay Apnay Ahsaas Main Rakh Kar Kay Jiyay
Toonay Parstish Kay Liyay Jisay Ab Talak Sambhaalaa Tha
Na Tujhse Thi Mujhe Parstish Ki Aarzo
Na Khud Mujhay Tha Shauq-E-Aqeedat
Main Tujh Main Dhoondhta Phirtaa Tha Il Khuddaar Mehboob
Aur Tumko Piyari Thi Apne Purkhon Ki Viraasat