Na Sarkaar Mein Kaam Paane Ke Kabil
Na Darbaar Mein Lab Hilaane Ke Kabil
Na Jungle Mein Revad Charaane Ke Kabil
Na Baazar Mein Boojh Uthane Ke Kabil
Na Padhte To Sau Tarah Khaate Kamaa Kar
Woh Khoyee Gayye Aur Taalim Paakar
Jo Poochoo Ke Hazrat Ne Jo Kuch Padhaa Hai
Muraad Aap Ki Is Ke Padhne Se Kya Hai
Mafaad Is Mein Dunya Ka Ya Deen Ka Hai
Natijaa Koi Yaa Ke Is Ke Siwa Hai
To Majzoob Ki Tarah Sab Kuch Bakenge
Jawaab Is Ka Laikin Na Kuch De Sakeenge