Na Samajh Paya Koi, In Aankhon Ki Zubaan.
Hum Kisi Ko Suna Paye Na Sabab-E-Mahobbat Ki Daastan.
Kaise Kahoon Maine Sajaye The Kitney Armaan,
Rahe Gaya Adhura Har Khawab, Alag Ho Gaya Hamara Rastaa.

Paas Aao Mere, Aap-Se Karti Hoon Kuch Elaan,
Baant(Share) Lo Thoda Sa Gham Mera, Tumpe Hoga Bada Hi Ehsaan.
Zindagi Ne Liya Mera Bahot Hi Bura Imtihaan,
Ki Mai Pyar Kar Baithi Aise Shaks Se, Jis Se Thi Bilkool Anjaan.
Apni Masoomiyat Ka Use Tha Bada Hi Abhimaan,
Samajhta Tha Apne Aap Ko Pharishta, Lekin Wo Tha Sirf Ek Insaan.
Utha-Kar Phayda Apne Garoor Ka, Usney Kiya Mera Ye Anjaam,
Ab Din-Dahade Phirti Hoon Uski Galiyon Mein, Dhoondhtey Hue Uska Nishaan.
Na Kuch Milney Par, Khali Haath Laut-Ti Hoon Apney Ghar, Jo Hai Veeraan.
Yahan Aur Kuch Nahi Sirf Khamoshi Hai, Jaise Ho Koi Kabarstaan.
Nahi, Nahi Yeh Koi Juthi Kahani Nahi, Yeh Hai Meri Zindagi Ki Pehchaan,
Aap Bhi Thoda Sa Jaam Pilo, “Rutu” Aur Aap Saath Mein Hotey Hai Badnaam.