Na Puch-E-Saaqi Mere Gunaahon Ka Sabab
Meri Her Saans Gunaah Thee
Meri Her Saans Gunaah Hai
Na Puch-E-Saaqi Mujhse Aashiqe Ka Sabab
Jo Kal Jeene Ki Vajah Thee
Wo Aaj Marne Ki Vajah Hai
Ishq Ki Baaji Mein Hui Hai Haar Tamanna Ki
Mujhe Jeene Ke Liye Darkaar Tamanna Ki
Na Puch-E-Saaki Mujhse Zindgi Ka Sabab
Hizr Hi Meri Sajaa Thee
Hizr Hi Meri Saja Hai
Meri Her Saan Gunaah Thee
Meri Her Saan Gunaah Hai
Humne Girton Ko Sambhalte Dekha Hai
Humne Rishton Ko Badalte Dekha Hai
Na Puch-E-Saaqi Mujhse Dosti Ka Sabab
Dosti Jakhmo Pe Namak Thee
Dosti Dardon Ki Dawaa Hai
Jo Kal Jeene Ki Vajah Thee
Wo Aaj Marrne Ki Vajah Hai
Mai Sayahi Ki Tarah Mit Jaane Waala Hun
Badalon Ki Tarah Chant Jaane Waala Hun
Na Puch-E-Saaqi Mere Mitne Ka Sabab
Wo Saari Duniya Se Alag Thee
Wo Saari Duniya Se Juda Hai
Jo Kal Jeene Ki Vajah Thee
Wo Aaj Marne Ki Vajah Hai,