Na Jeene Ki Chaah Hai Koi,
Na Marane Ki Ijaazat Hai Mujhe,
Zindagi Bani Hai Bojh Gumon Ka,
Aur Mujh Par Zimmedariyaan Bahot Hai,
Kadam Kadam Par Imtehaan Kai,
Aankhon Mai Hai Toofaan Kai,
Zindagi Mai Chhaai Hai Viraaniyaan Aur,
Duniya Ne Daale Hai Dil Par Kafan Kai,
Manhusiyat Chhaai Hai Waqt Par Mere,
Ya Manhus Hoon Mai Khud Hi Zindagi Ke Liye Kahi??
Chhanni Hai Gumon Se Seena Mera Aur,
Chot Lagi Hai Ab To Aatma Par Bhi Kai,
Mere Gum Pe Ro-Pada Hai Aaj To Aasmaan Bhi,
Aansoon Se Aasmaan Ke Bheeg Gaya Hai Ab To Dharati Ka Aanchal Bhi,
Hey Maa Ambe,Kya Mere Gum Se Hogi Teri Bhi Aankhein Num Kabhi?
Sunegi Kya Tu Kabhi Aansoono Mai Goom Pukaar Meri?
Puchh Rahi Hai Aaj Tujhase “Gudia” Kitane Legi Tu Aur Mere Imtehaan Abhi?