Na Jaane Kyun Her Shaksh
Pareshaan Nazar Aata Hai
Kya Sachmuch Itna Dard Hai Jindgi Mai
Ya Sirf Ye Hamaari Manodasha Dikhlata Hai
Kyun Hamein Apne Hi Gam
Apne Hi Dard Nazar Aate Hain
Kyun Hum Sadkon Or Aspataalon Mein
Adhmare Chehre Nahi Dekh Paate Hain
Kyun Rakhte Hain Itni Ummeedein Oron Se
Kyun Apni Chhamtaaon Se Uncha Udna Chaahte Hain
Kyun Khojte Hain Sukh Saadhanon Mein
Kyun Padosiyon Ke Sone Ke Jhule Hamein Heen Banate Hain
Kyun Hamaari Muskuraahat Ki Vajah
Her Baar Koi Or Banaata Hai
Kyun Gulaabon Se Bhari Daaliyon Mein
Hamain Kaante Hi Nazar Aate Hain