Na Jaane Kiski Talash Mein
Janamo Se Bhatkati Rahi Hun Main
Apni Rooh Se Tere Dil Ki Dhadkano Tak
Aapna Naam Padhati Rahi Hun Main
Likha Hai Jab Bhi Koi Geet Ya Gazhal
Tu Hi Lafazo Ka Libaas Pahne Meri Kalam Se Utara Hai
Yun Chupake Se Khamoshi‚  Se Tere Kadamo Ki Aahat
Har Gujarte Lamhe Mein Sunati Rahi Hun Main
Khilta Chaand Ho Ya Fir Behakati Vasani Hawa
Sirf Tere Chune Ke Ek Pal Ke‚  Ehsaas Se
Khud Hi Mehkati Rahi Hun Main
Yun Hi Pane Khyaalo Mein Dekha Hai
Teri Aankho Mein Pyaar Ka Samunder
Khoyi Si Teri‚  In Nazaro Mein
Apne Liye Pyaar Ki Ibaadat Padhati Rahi Hun Main
Par Aaj Tere Likhe Mere Adhure Naam Ne
Achanak Mujhe Mere Vajood Ka Ehsaas Karwa Diya
Ki Tu Mere Dil Ke Har Kone Mein Aaj Bhi Muskarta Hai
Aur Tere Liye Aaj Bhi Ek Ajnabi Si Rahi Hun Main