Na Jaane Kaise Chali Ye Purwayi
Hume Dosti Nibhani Na Aye
Bigade Hue The Kal Tak Sabhi Dosto Ke Pyar Se
Barso Phir Ek Lambi Tanha Zindagi Beetai
Lote Hai To Bhool Gaye Har Ek Rishte Ko
Ajnabipan Ki Bhawna Har Taraf Maine Payi
Chah Kar Bhi Na Jhooth Hum Kabhi Kah Sake
Na Puch Suchai Per Rah Kar, Kaise Hai Zindagi Beetyi
Such Aor Jhooth Ke Dorahein Mein Itna Hi Kaha Ki Na Puch Kuch
Bas Itani Si Baat Per Dost Ne Apne Dil Ko Hai Thokar Lagayi
Badi Himmat Se Kholi Thi Ek Choti Se Khirki Khushio Ki Taraf
Lo Humne Phir Se Band Kar, Andar Se Chitkani Lagayi
Na Jaane Kaise Chali Ye Purwayi
Hume Dosti Nibhani Na Aye