Na Hote Woh To Yeh Barbaad Bhi Nahi Hota,
Kat Ke Do Hisson Mein Azaad Bhi Nahi Hota.
Na Hota Unki Rukhsati Se Sihasat Ka Milan,
Padosiyon Mein Yeh Fasaad Bhi Nahi Hota.
Na Hota Jazba-E-Shahaadat Iss Dil Mein Agar,
Zaraa Sa Humse Woh Imdaad Bhi Nahi Hota.
Jazbaa-E-Shahadaat= Shaheed Hone Ki Bhaavna.
Imdaad=contribution.
Nahi Aata Padosi Ko Agar Khayaal-E-Sulah,
Mere Dohraane Se Kya Yaad Bhi Nahi Hota ?
Khayaal-E-Sulah=thought Of Peace
Hazaar Zaayke Kyun Hamne Banaa Rakhein Hai,
Na Hota Shaad To Na-Shaad Bhi Nahi Hota.
Zaayke=tastes
Shaad=joyful, Na-Shaad=joyless.
Kya Hai Baat Ke Jeene Ka Humko Pachtaava,
Roz Marr Jaane Ke Baad Bhi Nahi Hota.
Woh Jo Talib Ke Likhe Par Huee Thi Wah Wah Kabhi
Aaj Bhuule Se Ik Irshaad Bhi Nati Hota.