Na Gird Kaante Hon Jiske, Gulab Koi To Ho
Halal Ho Jise Peena,Sharab Koi To Ho
Kahun Main Jisko Mera Intiqaab, Koi To Ho
Mere Liye Bhi Kabhi Behijaab, Koi To Ho
Wo Jisko Dekh Ke Sara Jahan Haseen Lage
Jahan Me Aisa Hasin Behisaab Koi To Ho
Mujhe To Chand Ke Rukh Par Bhi Ek Daag Mila
Na Jisme Daag Mile,Mahtaab Koi To Ho
Waraq Waraq Pe Hon Jiske Hasin Hasin Chehre
Jamal-O-Husn Ki Aisi Kitaab, Koi To Ho
Ye Kaise Log Hain Jo Zulm Sehte Rehte Hain
Khilaf-E-Zulm Yahan Inqilaab, Koi To Ho
Bujhe Bujhe Se Hain Chehre Phati Phati Ankhen
Talash Karta Hun Ankhon Me Khwab, Koi To Ho
Sawal Jisse Bhi Karta Hun Chup Hi Rehta Hai
Jafa Ke Shehr Me Hazir Jawaab, Koi To Ho
Adu Ke Dil Me Tamanna Ye Reh Gayee, Fezan
Meri Ghazal Jise Keh De Kharaab, Koi To Ho