Muskurati Huye Raat Aati Thi
Aaj Har Raat Meri Udaas Ho Gayi
Har Shaam Hoti Thi Mehfil Jawan
Aaj Har Mehfil Ki Shaam Ho Gayi
Khushi Ke Saagar Mein Gote Khate Thhey Kabhi
Aaj Ghum Ke Sehra Mein Kahin Kho Gayi
Gungunaya Karte Thhey Hum Bhi Kabhi Nagmo Ko
Aaj Har Ghazal Gamgeen Ho Gayi
Din Bhi Gujarta Tha Sapnon Ki Chhaanv Mein
Aaj Magar Hakikat Se Mulakat Ho Gayi
Shayad Gaya Koi Mera Saath
Palat Kar Dekha Toh Main Tanha Reh Gayi
Ye Zindagi Jo Kabhi Meri Dost Thi
Aaj Kyon Khafa Ho Gayi
E-Zindagi Kuch Toh Bata
Aisi Bhi Kya Mujhse Bhool Ho Gayi