Muskuraate Muskuraate Ye Aankhein
Aksar Chalak Jaati Hai,
Hum Sochte Hai Bahut Siyaane Ho Gaye Hum
Par Nadaniyan Ab Bhi Ho Jaati Hai,
Un Mitti Ke Gharondo Se Mohobbat Karte Hain
Jo Kodiyon Me Bhi Nahi Bik Paate Hain,
Ek Bachha Ab Bhi Ro Padta Hai Jab
Koi Kadam In Pe Pad Jaate Hain,
Samjhao Ey Aasmaan Isko
Ye Aksar Apne Mehboob Ko Kosta Hai,
Mohobbat To Sirf Diye Jaane Ka Naam Hai
Kuch Na Milne Par, Ye Kyon Bechain Hota Hai