Muskara Kar Nazaa Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya,
Un Ke Sadqe, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya.
Yun Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-E-Etibaar,
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-E-Toofaan Kardiya.
Aur Ab Kya Chahti Hain Mujh Se Dunya Baad Marg,
Mein Ne Raushan Manzar-E-Gor-E-Gharibaan Kardiya
Maut Ab Aajaye, Mein Jaam-E-Mohabbat Pi Chuka,
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya
Kayenaat-E-Husn Ka Ek Harba-E-Masoom Tha!,
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-E-Esyaan Kardiya
Rakh Diya Zer-E-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka,
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya