Muqaddar Chod De Jisko Zamana Chod Deta Hai
Khizaa Mein Har Parinda Aashiyana Chod Deta Hai
Samajh Len Lag Rahi Hai Aapki Buniyaad Mein Deemak
Padosi Jab Kabhi Nazre Milana Chod Deta Hai
Zamane Bhar Ki Taqriren Asar Mujh Par Nahin Karti
Magar Ik Lafz Tera Ik Fasana Chod Deta Hai
Wo Zaalim Bewafa Harjai Hai Magar Fir Bhi
Nazar Milte Hi Ik Manzar Suhana Chod Deta Hai
Hazaron Koshishen Kar Ke Use Hum Bhooll Paae Hain
Roz Khidki Mein Koi Khat Purana Chod Deta Hai
Zamane Bhar Ki Talwaren Jhuki Ati Hain Kadmon Pe
Koi Ban Kar Ke Jab Gautam Gharana Chod Deta Hai.