Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Mohabbat Ke Bite Huwe Kuch Fasaane
Voh Uthti Javaani Voh Katil Adaaen
Voh Aakhon Me Aakhen Voh Baahon Me Baahen
Voh Seene Ki Garmi Labo Ki Hararat
Dhadakte Howe Do Dilo Ki Sadaaen
Voh Chori Se Milne Ke Apne Thikaane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Voh Rangeen Raaten Voh Mousam Suhaana
Voh Tanhaaiyon Me Tera Rooth Jaana
Pakadna Mera, Tera Daaman Chudaana
Kahi Door Jaakar Phir Muskuraana
Bahut Dilrooba The Voh Tere Bahaane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Voh Nadeeya Ki Lehre Voh Jamuna Kinaraa
Milaa Tha Jaha Zindagi Ko Sahaara
Sada Saat Rehke Jiyenge Saat Saat
Voh Ulfat Ki Kasme Voh Vada Tumhaara
Magar Kya Thi Kismat Kabhi Ham Na Jaane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Zamaane Se Chuph Chuph Ke Milne Ki Baaten
Voh Khulud Me Gujri Hui Chand Raaten
Mohabbat Pe Pehre Kadi Bandishen Thi
Javani Me Jhelenge Vardaten
Magar Pyaar Ke Dukh The Dil Ko Suhaane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Tumhari Tagaful Hamari Laddai
Voh Bachainiyon Me Tumhari Judaai
Tabiyat Jo Tarsi Tadap Dil Me Aai
Mohabbat Ki Soonli Khuda Ne Duhaai
Chale Aa Rahe The Von Hamke Manane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Zamaane Ne Chahaa Tujhe Bhool Jaaun
Tasveer Bhi Teri Mai Dil Se Mitaaun
Magar Dil Ki Bachain Aawaaz Gunji
Khajaana Hai Tu Mera, Mai Kaise Lutaaun
Kabhi Log Duniyaa Ke Meri Na Maane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Meri Zindagaani Guroor Lutaakar
Mere Aashiyaane Par Bijlee Giraakar
Uthi Uski Dolee Magar Yeh Na Samjhe
Ke Dolee Nahi Ek Janaja Uthakar
Chale Do Dilon Ki Mohabbat Jalaane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane
Kasam Khaai Thi Mai Na Yaad Ab Karoonga
Judaai Me Teri Na Aahen Baroonga
Samaj Loonga Takdir Hi Thi Kuch Aeisee
Kisi Pe Oskaa Na Ilzaam Doonga
Chale Yaaden Maaji( Past) Ko Phir Kyoun Jagaane
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi Voh Jamaane