Mujhe Yaad Aati Hain Bachpan Ki Baatein
Mujhe Yaad Aati Hain Bachpan Ki Yaadein
Woh Khilana Woh Hansna Woh Gaana
Woh Chatt Pey Phir Chadhke Patangein Udana
Woh Lamba Danda Jo Haathon Mein Merey
Urhti Hui Haseen Patangein Churana
Manjhey Sey Lipti Patangein Urhana
Mujhewy Yaad Aati Hain Bachpan Ki Yaadein
Woh Saathi Sey Ladhna Ya Ho Jhagadna
Ek Paol Mein Hi Phir Ussey Lipatna
Na Dil Mein Khalish Thi,Na Koi Aham Tha
Sang Phir Uskey Roti Ka Khana
Kahan Ab Woh Din Hain Kahan Hain Woh Raatein
Mujhey Yaad Aati Hai Bachpan Ki Baatein
Aamon Key Perhon Pey Jhat Pat Charhna
Pairon Ka Merey Woh Mitti Mein Garhna
Rona Hi Khud Par Phir Khud Pey Hi Hansna
Aambva Key Perhon Ki Chaoon Mein Sona
Na Woh Chaoon Hain Ab Na Hain Na Hain Baharein
Mujhey Yaad Aati Hai Bachpan Ki Baatein
Chooti Baaton Pe Rota Tha Ji Bhar
Nanhi Si Khushi Sey Hansta Tha Din Bhar
Nanhi Si Khushi Sey Sub Ghum Bhol Jaana
Woh Lori Ka Ga Kar Behen Ko Sulana
Na Khushiyan Hain Ab Woh Na Hain Woh Ratein
Mujhey Yaad Aati Hai Bachpan Ki Baatein
Na Patango Naata Hai Na Maanjhey Sey Rishta
Na Ambiya Sey Yaari Na Pedhon Sey Rishta
Na Mitti Hai Woh Ab Na Lori Ki Chahat
Na Saathi Sey Mohobat Na Koi Aahat
Na Maa Ka Hai Aachaal Na Kisi Ki Mohobbat
Na Sir Ki Charhi Hai Naa Unki Dantein
Na Phoolon Mein Mehek Hai Na Neendon Ki Raatein
Khushiyan Nahin Hain Bus Ghum Hi Ghum Hain
Kaisi Bataoon Main Jawani Ki Baatein.