Mujhe Naa Jaane Kabse Ekk Marz Le Baitha,
Ke Dil Kaa Ekk Bhii Armaan Main Baki Naa Rakhoon,
Her Ekk Arzoo Apni Bayaan Ker Daaloon,
Kitaab-E-Dil Kaa Aks Khaama-O-Kagaz Se Bane.
Meri Sukhanwari Kuch Iss Tarah Se Paaye Asar,
Ke Zakhm Bhar Doon Ya Dil Paara Paara Bikhra Doon.
Samajhna Chahoon Mein Har Shay Ko Aur Bhi Zyaada,
Mera Wajood, Aur Asraar-E-Alam-E-Duniya.
Phir Aaj Sochne Baitha Hoon Itmenaan Se Jab,
To Aadhi Umr Beet Jaane Kaa Ehsaas Hua,
Aur Iss Aadhi Umr Mein Jo Bachi Hain Shayad,
Kya Samajh Paaonga Khud Ko Aur Iss Zamaane Ko ?