Mujhe Itni Si Shikaayat Hai Iss Zamaane Se,
Kya Milega Tujhe Abas Mujhe Mitaane Se.
Nayee Pehcaan-O-Taallukaat-O-Ashanaayee Par,
Yaad Aa Rahe Hain Rishte Kuch Puraane Se.
Misl-E-Mahtaab Labon Ki Pyaas Badhti Hai,
Gulaabi Gaalon Pe Ashqon Ke Jhagmagaane Se.
Misl-E-Mahtaab=like Moon.
Tere Labon Ki Yeh Muskaan Jaanleva Hai,
Jeeta Huu Mein To Bass Tere Muskuraane Se.
Tera Deedar, Ya Awaaz, Ya Khayaal Ho Bass,
Farq Padta Nahi Saason Ke Aane Jaane Se.
Apne Sine Pe Kuch Derr Sar Jo Rakhne De,
Mustakil Soun Tere Dil Ke Thapthapaane Se.
Mustakil=forever
“Talib” Bhaagta Hai Dekho Khud Ke Saaye Se,
Aur Ummed Bhi Kya Karta Koi Deewaane Se.